Saturday, March 17, 2007

FOUR LINER

1.Sau dard hain aur sau rahatein,
Sab mila dilnashee ek tu hi nahi
Behta hai paani behne de
Waqt ko yunhi rehne de
Dariya ne karwat li hai to saahilon ko sahne de
Sau hasratein aur sau aahein par tera ghum nahi

+----------+

2.Har ek aarzoo ko anzaam
Aur har ek jazbaat ko jubaan nahi milti
Muskaan banaye Rakho to duniya hai saath
Warna Yaha to aansuo ko bhi aankh me pahchaan nahi milti

+----------+

3.Aye khuda agar yeh sach hai
Ke pyar me tera wajood nazar aata hai,
Toh phir kyun toot jaate hai dil
Aur khud tera wajood bikhar jata hai!!

+----------+

4.Milke bichadna dastoor hai zandagi ka,
Ek yahi kissa mashhoor hai zandagi ka,
Beete huye pal kabhi laut kar nahi aate,
Yahi sabse bada kasoor hai zandagi ka

+----------+

5.Mat poochh mere sabr ki inteha kahaan tak hai
Tu sitam kar le tu zaalim jahaan tak hai
Wafa ki umeed jinhe hogi unhe hogi
Humein toh dekhna ye hai ki tu kaatil kaha tak hai

+----------+


2 comments:

Unknown said...

yon tho hum khabi rothey nahee
yon tho hum khabi husthay nahee
magar aank tho yon hee bhar jaatha hai
jaise paani may naav doob jaatha hai...

Unknown said...

koi b na hum say kabi poochai
aank barthay hai kyon har pal
bus yon hee beegthay rehathay hain hum baarish main...
har pal, ki koi hum say yaadhain hamare na cheen lay...