Monday, January 22, 2007

MIX SHAYRIS

Tumhara husn meri jindgi ki dolat hai,
har ek chij se badkar tumhari chahat hai |
tumhare pyar mein gum hoon main ek jamane se,
meri nigahon mein har dam tumhari
surat hai ||

Jab pyar kisi se hota hai to, taqdeer badal jati hai |
aaine to wahi rahte hain magar tasweer badal jati hai ||

Na tu jameen ke liye, na aasmaan ke liye |
jahan hai tere liye, tu nahi jahan ke liye ||

Saawle rang ne dil hamara jit liya,
log udate hain majak meri is dillagi ka |
gore rang ka hai jamaana sawle ka nahi,
hum wo pasand karte hain jo jamaane ko pasand nahi ||

Kaun rakhta hai yaad naamo ko, log chehre tak bhul jate hain,
tum samundar ki baat karte ho log aankho mein dub jate hain |
mohabbat jisne kari na ho , wo mohabbat kya jane,
mera dil tujhe ab bhi chahta hai tere dil ke baare mein khuda jane ||

Pine de mai mujhe majjid mein baithkar "gaalib" |
ya koi aisi jagah bata jahan khuda na ho ||

Wishwas kar liya jin par unhi ne hamko luta hai ,
kahan tak ginwaye sabhi ne hamko luta hai |
lut te agar dosto ke haaton to gam na tha,
sitam to is baat ka hai jindgi ne haamko luta hai ||

Kitni ajib baat hai aalwida bhi nahi kah sakte hum |
milne ki to baat dur tere shahar mein bhi nahi rah sakte hum ||

Tumhari baat to "raasikh" samajh mein kuch nahi aati |
gila bhi yaar ka karte ho aur rote bhi jate ho ||

Kyon khat likhti ho ab chahat kaisi,
jab juda ho gayi ho to mohabbat kaisi |
mujhe to teri wafa par bada naaj tha,
tu bewafa nikli to tujh se shikayat kaisi ||

Meri raahon par tere nakshe kadam baaki rahe,
tu chali gayi magar tere gam baaki rahe |
pyar tera ek meethi kasak ban
gaya,
dil par jo tune kiye wo sitam baaki rahe ||

E-dila na kar gila , ye jo gam ki raat hai |
aayenge din bahar ke ,bas do char roj ki baat hai ||

Sabab har ek ne mujh se puchha hai, mere rone ka |
ilaahi saari dunia ko main kaise rajda kar lun ||

Kaun rota hai kisi aur ki khaatir e dost |
sabko apni hi kisi baat par rona aaya ||

Ek huk si dil mein uthti hai , ek dard jigar mein hota hai |
main raat ko uthkar rota hoon , jab saara aalam sota hai ||

Tut jane se sitaro ne bhi vuk.at khoyi |
mere aansu meri palko mein sambhalte rahna ||

Rok le e jabt jo aansu kii chashme-tar hain |
kuch nahi bigda hai ab tak ghar ki dolat ghar mein hain ||

Bewakt aankh se ab ashk umad aate hain |
hamko bewakt ki barsaat se dar lagta hai ||

Kuch hasin khwab aur kuch aansu |
umar bhar ki sirf yahi kamayi hai ||

Khud apni bebasi ki udayi hain yun hasi |
aaye jo ashk aankh mein hum muskura diye ||

Ajnabi shai thi khushi, ghabra gaye |
haste hi aankho mein aansu aa gaye ||

Muddat ke baad usne jo ki lufat ki nigahein |
ji khush to ho
gaya magar aansu nikal pade ||

Dunia ka etbaar kare to kya kare |
jab aansu to apni aankh ka apna hua nahi ||

Meri aankh mein aansu , tujh se kya kahun hamdam kya hain |
thahar jaye to angara hai , bah jaye to dariya hai ||

Thak gayi hai juba. to chup hokar |
kaam mein aansuon ko laye hain ||

Tum ise shikwa samajh kar kis liye ghabra gaye |
baad muddat ke jo dekha tha to aansu aa gaye ||